Darshan Singh

ishq shabnam nahin sharara hai

Darshan Singh

1921-1989
ishq shabnam nahīñ sharārā hai
raaz ye mujh pe āshkārā hai
ik karam kī nigāh kar diije
umr-bhar kā sitam gavārā hai
raqs meñ haiñ jo sāġhar-o-mīnā
kis kī nazroñ kā ye ishārā hai
aisī manzil pe aa gayā huuñ dost
tire ġham kā faqat sahārā hai
lauT aa.e haiñ yaar ke dar se
vaqt ne jab hameñ pukārā hai
dil na TuuTe to zarra-e-nāchīz
kīmiyā hai jo paarā paarā hai
jām-e-rañgīñ meñ un kā aks-e-jamāl
yā shafaq meñ koī sitārā hai
naav Takrā chukī hai tūfāñ se
apnā murshid hī ab sahārā hai
ishq karnā hai maat khā jaanā
us meñ jiitā huā bhī haarā hai
apne 'darshan' pe ik nigāh-e-karam
ki ġham-e-zindagī kā maarā hai
Top Urdushayar.com