Darshan Singh

is rah mein aate hain bayaban bhi chaman bhi

Darshan Singh

1921-1989
is raah meñ aate haiñ bayābāñ bhī chaman bhī
kahte haiñ jise ziist shabistāñ bhī hai ran bhī
kyā ho gayā insān kā vo shauq-e-shahādat
vīrān nazar aate haiñ ab dār-o-rasan bhī
bujh jā.egī mil-jul ke agar pyaas bujhāo
gañgā hī ke nazdīk to hai rūd-e-jaman bhī
ab lāla-ba-dāmāñ na koī chāk-garebāñ
vīrān chaman hī nahīñ sunsān hai ban bhī
ik ham hī nahīñ ābla-pā dasht-o-daman meñ
aate haiñ nazar ḳhāk-basar lāla-badan bhī
ḳhālī nahīñ ab dāman-e-hasrat mirā 'darshan'
ham-rāh-e-vafā mujh ko milā ishq-e-vatan bhī
Top Urdushayar.com