Darshan Singh

wo saliqa hamein jine ka sikha de saqi

Darshan Singh

1921-1989
vo salīqa hameñ jiine kā sikhā de saaqī
jo ġham-e-dahr se begāna banā de saaqī
jām-o-mīnā mirī nazroñ se haTā de saaqī
ye jo āñkhoñ meñ chhalaktī hai pilā de saaqī
sho.ala-e-ishq se chhalkā de mire shīshe ko
aur betāb ko betāb banā de saaqī
haram-o-dair meñ baT jaate haiñ rindān-e-vafā
haram-o-dair kī tafrīq miTā de saaqī
sun rahā huuñ ki mayassar hī nahīñ duniyā meñ
ik nigah rāz-e-do-ālam jo batā de saaqī
ḳhushk hai mausam-e-ehsās fazā pyāsī hai
ḳhum ke ḳhum sīna-e-getī pe luñDhā de saaqī
phir kabhī hosh na aa.e to koī baat nahīñ
aaj ham jitnī piyeñ utnī pilā de saaqī
josh-e-mastī meñ baġhal-gīr huuñ bichhḌe hue dil
aaj insān ko insān banā de saaqī
zindagī ḳhvāb-e-musalsal ke sivā kuchh na sahī
us kī ta.abīr to 'darshan' ko batā de saaqī
Top Urdushayar.com