Darshan Singh

ye kis ne kah diya aaKHir ki chhup-chhupa ke piyo

Darshan Singh

1921-1989
ye kis ne kah diyā āḳhir ki chhup-chhupā ke piyo
ye mai hai mai use auroñ ko bhī pilā ke piyo
ġham-e-jahāñ ko ġham-e-zīst ko bhulā ke piyo
hasīn giit mohabbat ke gungunā ke piyo
chhuTe na dāman-e-tā.at bhī vaqt-e-mai-noshī
piyo to sajda-e-ulfat meñ sar jhukā ke piyo
bujhe bujhe se hoñ armāñ to kyā faroġh-e-nashāt
jo so ga.e haiñ sitāre unheñ jagā ke piyo
ġham-e-hayāt kā darmāñ haiñ ishq ke aañsū
añdherī raat hai yaaro diye jalā ke piyo
nasīb hogī bahar-kaif marzī-e-sāqī
mile jo zahr bhī yaaro to muskurā ke piyo
mire ḳhulūs pe shaiḳh-e-haram bhī kah uTThā
jo pī rahe ho to 'darshan' haram meñ aa ke piyo
Top Urdushayar.com