Darshan Singh

bahut mushkil hai tark-e-arzu rabt-ashna ho kar

Darshan Singh

1921-1989

bahut mushkil hai tark-e-ārzū rabt-āshnā ho kar

guzar vādī-e-pur-ḳhār se bād-e-sabā ho kar

lagā doge tamannā ke safīne ko kināre se

ma.āz-allāh dāva-e-ḳhudā.ī nā-ḳhudā ho kar

har ik ho silsila rañgīñ gunāhoñ ke salāsil

nahīñ āsān duniyā se guzarnā pārsā ho kar

mirī pinhā.ī-e-ilm-o-ḳhabar intihā ye hai

ki ik qatre se nā-vāqif huuñ dariyā-āshnā ho kar

kahāñ tāb-e-judā.ī ab to ye mahsūs hotā hai

ki maiñ ḳhud se judā ho jā.ūñgā tum se judā ho kar

tirā dar chhoḌ duuñ lekin tire dar ke sivā saaqī

kahāñ jā.ūñ kidhar jā.ūñ zamāne se ḳhafā ho kar

jo shikva un se karnā thā vo un ke rū-ba-rū 'darshan'

zabāñ tak aate aate rah gayā harf-e-duā ho kar

Top Urdushayar.com