kahīñ jamāl-e-azal ham ko rūnumā na milā
mile to husn magar husn aap sā na milā
rahī talāsh magar dard āshnā na milā
hamāre ba.ad unheñ ham sā bā-vafā na milā
ga.e haiñ dair-o-haram meñ bhī bārhā lekin
vo aasrā jo diyā tū ne sāqiyā na milā
jo duur the to bahut pārsā the ye zāhid
jo paas aa.e to koī bhī pārsā na milā
muqāble kī jo tāqat thī vo ubhar to sakī
ḳhudā kā shukr hai kashtī ko nāḳhudā na milā
javāb-e-jannat-e-rañgīñ sahī tirī duniyā
magar hameñ to yahāñ lutf ai ḳhudā na milā
havā-o-hirs ke lākhoñ shikār paa.e magar
koī bhī dard mohabbat meñ mubtalā na milā
jo chashm-e-mast se chhalkā ke de alast kī mai
tire sivā koī duniyā meñ sāqiyā na milā
mujhī ko baḳhsh diye kul jahān ke ālām
ġham-e-jahāñ ke liye koī dūsrā na milā
kahūñ to kis se kahūñ dil kī baat ai 'darshan'
sune jo dard-e-bashar aisā ham-navā na milā