Darshan Singh

jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi

Darshan Singh

1921-1989
jazba-e-dil ko amal meñ kabhī laao to sahī
apnī manzil kī taraf paañv baḌhāo to sahī
zindagī vo jo harīf-e-ġham-e-ayyām rahe
dil shikasta hai to kyā saaz uThāo to sahī
jaag uTThegī ye soī huī duniyā lekin
pahle ḳhvābīda tamannā ko jagāo to sahī
phuul hī phuul haiñ kahte ho jinheñ tum kāñTe
merī duniyā-e-junūñ meñ kabhī aao to sahī
tumheñ ābād nazar aa.egī ujḌī duniyā
dil kī duniyā ko mohabbat se basāo to sahī
zindagī phir se javāñ phir se hasīñ ho jaa.e
un kī āñkhoñ se zarā aañkh milāo to sahī
karte phirte ho añdhere kī shikāyat 'darshan'
dil kī duniyā meñ koī diip jalāo to sahī
Top Urdushayar.com