Darshan Singh

nigah-e-mast-e-saqi ka salam aaya to kya hoga

Darshan Singh

1921-1989
nigāh-e-mast-e-sāqī kā salām aayā to kyā hogā
agar phir tark-e-tauba kā payām aayā to kyā hogā
haram vaale to pūchheñge batā tū kis kā banda hai
ḳhudā se pahle lab par un kā naam aayā to kyā hogā
mujhe manzūr un se maiñ na bolūñgā magar nāseh
agar un kī nigāhoñ kā salām aayā to kyā hogā
chalā hai aadmī tasḳhīr-e-mehr-o-māh kī ḳhātir
magar sayyād hī ḳhud zer-e-dām aayā to kyā hogā
mujhe tark-e-talab manzūr lekin ye to batlā do
koī ḳhud hī liye hāthoñ meñ jaam aayā to kyā hogā
mohabbat ke liye tark-e-ta.alluq hī zarūrī ho
mohabbat meñ agar aisā maqām aayā to kyā hogā
jahāñ kuchh ḳhaas logoñ par nigāh-e-lutf hai 'darshan'
agar us bazm meñ daur-e-avām aayā to kyā hogā
Top Urdushayar.com