Darshan Singh

chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin

Darshan Singh

1921-1989
chashm-e-bīnā ho to qaid-e-haram-o-tūr nahīñ
dekhne vaalī nigāhoñ se vo mastūr nahīñ
kaun sā ghar hai javāñ jalvoñ se pur-nūr nahīñ
ik mire dil kī hī duniyā hai jo ma.amūr nahīñ
apnī himmat hī se pahuñchūñgā sar-e-manzil-e-shauq
luuñ sahārā maiñ kisī kā mujhe manzūr nahīñ
ġham-e-jānāñ ko bhulā duuñ na karūñ dost ko yaad
itnā maiñ ai ġham-e-daurāñ abhī majbūr nahīñ
ye mohabbat kī hai qīmat ye mohabbat kā sila
ki hamāre hī liye ishq kā dastūr nahīñ
donoñ aalam ko Dubo de jo mai-o-mīnā meñ
chashm-e-sāqī ke sivā aur kā maqdūr nahīñ
muskurā do to mirā ġhuncha-dil khil jaa.e
dil kabhī khil na sake aisā bhī ranjūr nahīñ
tum nahīñ paas magar saath hai yādoñ kā hujūm
maiñ akelā nahīñ bekas nahīñ mahjūr nahīñ
aaj kuchh shaam se tārīk hai dil kī mahfil
tum nahīñ ho to vo raunaq nahīñ vo nuur nahīñ
mujh meñ himmat hai ki maiñ raaz ko ifshā na karūñ
ye mirā zarf hai ye sheva-e-mansūr nahīñ
kar sakegā na judā fāsla-e-vaqt-o-makāñ
duur nazroñ se sahī dil se magar duur nahīñ
merī taqdīr meñ 'darshan' haiñ kisī ke jalve
shukr sad shukr ki duniyā mirī be-nūr nahīñ
Top Urdushayar.com