raqs kartī hai fazā vajd meñ jaam aayā hai
phir koī le ke bahāroñ kā payām aayā hai
bāda-ḳhvārān-e-fanā baḌh ke qadam lo us ke
le ke sāġhar meñ jo sahbā-e-davām aayā hai
maiñ ne sīkhā hai zamāne se mohabbat karnā
terā paiġhām-e-mohabbat mire kaam aayā hai
rahbar-e-jāda-e-haq nūr-e-ḳhudā haadī deñ
le ke ḳhāliq kā zamāne meñ payām aayā hai
terī manzil hai buland itnī ki har shām-o-sahar
chāñd-sūraj se tire dar ko salām aayā hai
ho gayā terī mohabbat meñ giraftār to phir
tā.er-e-rūh bhalā kab tah-e-dām aayā hai
ḳhud-ba-ḳhud jhuk ga.ī peshānī-e-arbāb-e-ḳhudī
ishq kī raah meñ aisā bhī maqām aayā hai
āsiyo shukr kī jā hai ki ba-faiz-e-ḳhāliq
ham gunahgāroñ kī baḳhshish kā payām aayā hai
haram-o-dair ke logoñ kī ḳhushī kyā kahnā
banda-e-ḳhāliq-o-dil-dāda-e-rām aayā hai
tishna-kāmān-e-nazāra ko ye muzhda de do
be-naqāb aaj koī phir sar-e-bām aayā hai
ho mubārak tumheñ rindo ki ba-tā.īd-e-ḳhudā
koī chhalkātā huā shīsha-o-jām aayā hai
jab kabhī gardish-e-daurāñ ne satāyā hai bahut
tere rindoñ kī zabāñ par tirā naam aayā hai
ahl-e-maġhrib ko pilā kar mai-e-irfāñ 'darshan'
phir se mashriq kī taraf arsh-maqām aayā hai