kab ḳhamoshī ko mohabbat kī zabāñ samjhā thā maiñ
thā ayaañ vo rāz-e-dil jis ko nihāñ samjhā thā maiñ
sun rahā huuñ apnī ḳhāmoshī kā charchā kū-ba-kū
thī fuġhāñ vo bhī jise zabt-e-fuġhāñ samjhā thā maiñ
aarzī sā aks thā ik iltifāt-e-dost kā
jis ko nādānī se aish-e-jāvedāñ samjhā thā maiñ
tum ne āñkheñ pher liiñ mujh se to ye mujh par khulā
ḳhār-zār-e-zindagī ko gulistāñ samjhā thā maiñ
vo bhī nikle barq-o-bād-o-bāġhbāñ kī milkiyat
chaar tinke jin ko apnā āshiyāñ samjhā thā maiñ
kar sakeñ 'darshan' na vo bhī arz-e-hāl-e-ārzū
jin nigāhoñ ko mohabbat kī zabāñ samjhā thā maiñ