rāz-e-nihāñ thī zindagī rāz-e-nihāñ hai aaj bhī
vahm-o-gumāñ meñ thī vahm-o-gumāñ hai aaj bhī
kal bhī navā-e-āgahī qīmat-e-sañg-o-ḳhisht thī
naġhma-e-amn-o-āshtī jins-e-girāñ hai aaj bhī
dil se to roz-o-shab huī laakh tarah kī guftugū
tishna-e-guftugū magar apnī zabāñ hai aaj bhī
ḳhaak meñ jazb ho gayā tere shahīd kā lahū
matla-e-kā.enāt par surḳh dhuāñ hai aaj bhī
ishq ko niiñd aa ga.ī vaqt pe os paḌ ga.ī
apne junūñ ke dasht meñ dhuup javāñ hai aaj bhī
vaqt kī dastaras nahīñ bazm-e-gah-e-ḳhayāl tak
ruḳh pe ġhubār hī sahī yaad javāñ hai aaj bhī
kal bhī ruḳh-e-hayāt par rañg-e-shaguftagī na thā
sub.h-e-bahār-e-zindagī shām-e-ḳhizāñ hai aaj bhī
kal bhī zabān-o-nutq ko ḳhauf-e-sinān-e-saif thā
naqd-o-nazar ko dahshat-e-tīr-o-kamāñ hai aaj bhī
'darshan'-e-tishna-kām par ek nigāh sāqiyā
sho.ala-bayāñ ye kal bhī thā sho.ala-bayāñ hai aaj bhī