daulat milī jahān kī nām-o-nishāñ mile
sab kuchh milā hameñ na magar mehrbāñ mile
pahle bhī jaise dekh chuke hoñ unheñ kahīñ
anjān vādiyoñ meñ kuchh aise nishāñ mile
baḌhtā gayā maiñ manzil-e-mahbūb kī taraf
haa.il agarche raah meñ sañg-e-garāñ mile
ronā paḌā nasīb ke hāthoñ hazār baar
ik baar muskurā ke jo tum mehrbāñ mile
ham ko ḳhushī milī bhī to bas aarzī milī
lekin jo ġham mile vo ġham-e-jāvedāñ mile
baaqī rahegī hashr tak un ke karam kī yaad
mujh ko rah-e-hayāt meñ jo mehrbāñ mile
phir kyuuñ kare talāsh koī aur āstāñ
vo ḳhush-nasīb jis ko tirā āstāñ mile
ahl-e-sitam kī dil-shikanī kā sabab huā
dil kā ye hausla ki ġham be-karāñ mile
saaqī kī ik nigāh se kaayā palaT ga.ī
zāhid jo mai-kade meñ mile naujavāñ mile
dair-o-haram ke log bhī darmāñ na kar sake
vo bhī asīr-e-kashmakash-e-īn-o-āñ mile
nazreñ talāsh kartī rahīñ jin ko umr-bhar
'darshan' ko vo sukūn ke lamhe kahāñ mile