Darshan Singh

hansi gulon mein sitaron mein raushni na mili

Darshan Singh

1921-1989
hañsī guloñ meñ sitāroñ meñ raushnī na milī
mile na tum to kahīñ bhī hameñ ḳhushī na milī
na chāñd meñ na shafaq meñ na lāla-o-gul meñ
jo aap meñ hai kahīñ bhī vo dilkashī na milī
nigāh lutf kī hai muntazir mirī shab-e-ġham
sitāre Duub chale aur raushnī na milī
hamīñ ko sauñp diye kul jahāñ ke rañj-o-alam
kisī meñ aur hamārī sī dil-dahī na milī
nigāh-e-dost ne baḳhshī jo dil ko mad-hoshī
sharāb-o-jām se ham ko vo be-ḳhudī na milī
har ik nashāt meñ pinhāñ milā nashāt kā ġham
jo aish se ho basar aisī zindagī na milī
mire ḳhayāl meñ haiñ ye tajalliyāñ kis kī
añdherī raat meñ bhī mujh ko tīrgī na milī
vahī fazā vahī gulshan vahī havā hai magar
milī jo gul ko vo ḳhāroñ ko zindagī na milī
gila kareñge na ab mere ba.ad ke rahrav
ki un ko rāh-e-mohabbat meñ raushnī na milī
hazār baar huā ḳhūn-e-ārzū lekin
kabhī kisī ko mirī aañkh meñ namī na milī
jo chheḌtī mire betāb dil ke tāroñ ko
kisī bhī saaz meñ darshan vo naġhmagī na milī
Top Urdushayar.com