Darshan Singh

qaid-e-gham-e-hayat se ahl-e-jahan mafar nahin

Darshan Singh

1921-1989
qaid-e-ġham-e-hayāt se ahl-e-jahāñ mafar nahīñ
aisī milī hai shām-e-ġham jis kī koī sahar nahīñ
hai vo safar jo ishq ko jānib dost le chale
varna safar ke vāste kaun sī rahguzar nahīñ
ahl-e-ḳhirad ko chāhiye dil ke nagar meñ aa baseñ
dil sā hasīn-o-ḳhush-numā aur koī nagar nahīñ
tere karam pe hai yaqīñ garche ye jāntā huuñ maiñ
naala hai merā nā-rasā aah meñ kuchh asar nahīñ
hasrat-e-intizār kī baat na ham se pūchhiye
hai ye tavīl dāstāñ qissa-e-muḳhtasar nahīñ
luT to ga.e haiñ dil magar mil bhī ga.ī haiñ manzileñ
rahguzar-e-hayāt meñ ishq sā rāhbar nahīñ
apnā rahā na hosh jab rāz-e-hayāt pā liyā
nemat-e-be-ḳhudī samajh hosh kā ye samar nahīñ
ishq matā-e-lā-makāñ ishq matā-e-jāvedāñ
sho.ala-e-dā.emī hai ye manzar-e-yak-sharar nahīñ
'darshan'-e-mast se mileñ kholegā rāz-e-āgahī
garche vahāñ hai jis jagah apnī use ḳhabar nahīñ
Top Urdushayar.com