naav kāġhaz kī sahī kuchh to nazar se guzre
us se pahle ki ye paanī mire sar se guzre
phir samā.at ko atā kar jaras-e-gul kī sadā
qāfila phir koī is rāhguzar se guzre
koī dastak na sadā koī tamannā na talab
ham ki darvesh the yuuñ bhī tire dar se guzre
ġhairat-e-ishq to kahtī hai ki ab aañkh na khol
is ke ba.ad ab na koī aur idhar se guzre
maiñ to chāhūñ vo sar-e-dasht Thahar hī jaa.e
par vo sāvan kī ghaTā jaisā hai barse guzre
habs kī rut meñ koī taaza havā kā jhoñkā
bād-o-bārāñ ke ḳhudā mere bhī ghar se guzre
mujh ko mahfūz rakhā hai mire chhoTe qad ne
jitne patthar idhar aa.e mire sar se guzre