harīm-kāba banā dī vo sar-zamīñ maiñ ne
tire ḳhayāl meñ rakh dī jahāñ jabīñ maiñ ne
mujhī ko parda-e-hastī meñ de rahā hai fareb
vo husn jis ko kiyā jalva-āfrīñ maiñ ne
chaTak meñ ġhunche kī vo saut-e-jāñ-fazā to nahīñ
sunī hai pahle bhī āvāz ye kahīñ maiñ ne
rahīn-e-manzil-e-vahm-o-gumāñ rahā 'aḳhtar'
isī meñ DhūñDh liyā jāda-e-yaqīñ maiñ ne