fareb-e-jalva kahāñ tak ba-rū-e-kār rahe
naqāb uThāo ki kuchh din zarā bahār rahe
ḳharāb-e-shauq rahe vaqf-e-intizār rahe
ab aur kyā tire vādoñ kā e'tibār rahe
maiñ rāz-e-ishq ko rusvā karūñ ma.āz-allāh
ye baat aur hai dil par na iḳhtiyār rahe
chaman meñ rakh to rahā huuñ binā nasheman kī
ḳhudā kare ki zamāna bhī sāzgār rahe
junūñ kā ruḳh hai harīm-e-hayāt kī jānib
ilāhī parda-e-auhām-e-e'tibār rahe