Akhtar Ali Akhtar

dil ki aarzu thi dard dard-e-be-dawa paya

Akhtar Ali Akhtar

Rampur, Uttar pradesh, India

1894-1950
dil kī aarzū thī dard dard-e-be-davā paayā
kyā savāl thā merā aur kyā javāb un kā
ishq kī latāfat ko ḳhāk-e-tūr kyā jaane
mujh pe thī nazar un kī mujh se thā ḳhitāb un kā
ālam-e-tamannā hai ḳhvāb kā sā ik aalam
shauq-e-nā-tamām apnā ishva kāmyāb un kā
kam na thī qayāmat se sub.h-e-āfrīnash bhī
merī muztarib nazreñ aur intiḳhāb un kā
Top Urdushayar.com