Akhtar Ali Akhtar

zindagi kya hai jo dil ho tashna-e-zauq-e-wafa

Akhtar Ali Akhtar

Rampur, Uttar pradesh, India

1894-1950
zindagī kyā hai jo dil ho tashna-e-zauq-e-vafā
ya.anī ye parda to uTh saktā hai āsānī ke saath
guftugū-e-sūrat-o-mānī hai unvān-e-hayāt
khelte haiñ vo mirī fitrat kī hairānī ke saath
tum ne har zarre meñ barpā kar diyā tūfān-e-shauq
ik tabassum is qadar jalvoñ kī tuġhyānī ke saath
dil kī ābādī hai 'aḳhtar' dil kī barbādī kā naam
ik ta.alluq hai mirī hastī ko vīrānī ke saath
Top Urdushayar.com