Azhar Naiyyar

main apne shahr mein apna hi chehra kho baiTha

Azhar Naiyyar

Harpur Pusa, Bihar, India

1945
maiñ apne shahr meñ apnā hī chehra kho baiThā
ye vāqi.a jo sunāyā to vo bhī ro baiThā
tumhārī aas meñ āñkhoñ ko maiñ bhigo baiThā
ki dil meñ yaas ke kāñTe ka.ī chubho baiThā
matā-e-hāl na maazī kā koī sarmāya
nadī meñ vaqt kī har chiiz ko Dubo baiThā
sunahre vaqt kī tahrīreñ jin meñ thiiñ mahfūz
maiñ un sahīfoñ ko ashkoñ se apne dho baiThā
maiñ suntā rahtā thā jis aa.ine kī sargoshī
vo shahr-e-sañg meñ apnī jilā bhī kho baiThā
kisī babūl ke saa.e tale milī jo amaañ
to apne paañv meñ kāñTe bhī maiñ chubho baiThā
vahī rahā hai bahar-taur shādmāñ 'nayyar'
jo apne ġham meñ ġham-e-dīgarāñ samo baiThā
Top Urdushayar.com