Azhar Naiyyar

main mahal ret ke sahra mein banane baiTha

Azhar Naiyyar

Harpur Pusa, Bihar, India

1945
maiñ mahal ret ke sahrā meñ banāne baiThā
chand alfāz ko maazī ke bhulāne baiThā
hādse se hī huā ġham kā mudāvā mere
falsafa sabr kā logoñ ko paḌhāne baiThā
thak ke saa.e meñ babūloñ ke sukūñ jab chāhā
us kā har patta mujhe kāñTe lagāne baiThā
jis ne toḌā sabhī nātoñ sabhī rishtoñ ko mire
umr bhar kā vahī ab qarz chukāne baiThā
us ke talḳhāb se kab pyaas mirī bujh paa.ī
ghar samundar ke kināre hī basāne baiThā
jism ke baḳhiye jo udhḌe to udhaḌte hī rahe
jaama resham kā pahne ko silāne baiThā
log the gird alaav ke magar maiñ 'nayyar'
jism kī aag ko paanī se bujhāne baiThā
Top Urdushayar.com