is ko koī ġham nahīñ hai jis kā ghar patthar kā hai
kyā karegā tez tūfāñ bām-o-dar patthar kā hai
aise insāñ se kabhī ummīd kyā rakhe koī
dekhne meñ aadmī hai dil magar patthar kā hai
kaun sā hai shahr jis meñ maiñ bhaTak kar aa gayā
rāste patthar ke haiñ aur bām-o-dar patthar kā hai
aa ga.e haiñ aag kī zad meñ hazāroñ jhoñpaḌe
mujh ko lekin hai tasallī apnā ghar patthar kā hai
apne dāman meñ chhupā.eñ kyuuñ nahīñ bachche inheñ
haiñ sabhī TuuTe khilaune phir bhī Dar patthar kā hai
un se ummīd-e-vafā rakhnā bhī 'nayyar' hai fuzūl
be-muravvat sab ke sab haiñ aur nagar patthar kā hai