Azhar Naiyyar

dariche so gae shab jagti hai

Azhar Naiyyar

Harpur Pusa, Bihar, India

1945
darīche so ga.e shab jāgtī hai
mere kamre meñ kaisī ḳhāmushī hai
jidhar dekho fasurda zindagī hai
mujhe lagtā hai ye ġham kī sadī hai
jo rastoñ meñ bhaTaktī phir rahī hai
ise pahchān fikr-e-zindagī hai
samundar kā tamavvuj abr-o-bārāñ
zamīñ ke dil meñ phir bhī tishnagī hai
har ik lamha hamārā ḳhūn-e-tāza
mohabbat joñk ban kar chūstī hai
ye sannāTā ye tanhā.ī ye kamra
ḳhayāloñ meñ chuḌail ab nāchtī hai
maiñ 'nayyar' kyā dikhā.ūñ zaḳhm dil kā
kisī kī aañkh ḳhud nam ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com