hare daraḳht kā shāḳhoñ se rishta TuuT gayā
huā chalī to gulāboñ se rishta TuuT gayā
kahāñ haiñ ab vo mahakte hue hasīñ manzar
khulī jo aañkh to ḳhvāboñ se rishta TuuT gayā
zarā sī der meñ bīmār-e-ġham huā ruḳhsat
palak jhapakte hī logoñ se rishta TuuT gayā
gulāb titlī dhanak raushnī karan jugnū
har ek shai kā nigāhoñ se rishta TuuT gayā
uThī jo sahn meñ dīvār iḳhtilāf baḌhe
zamīñ ke vāste apnoñ se rishta TuuT gayā
kitāb-e-zīst kā har safha saada hai 'nayyar'
qalam kī nok kā lafzoñ se rishta TuuT gayā