Azhar Naiyyar

sach bolna chahen bhi to bola nahin jata

Azhar Naiyyar

Harpur Pusa, Bihar, India

1945
sach bolnā chāheñ bhī to bolā nahīñ jaatā
jhūToñ ke liye shahr bhī chhoḌā nahīñ jaatā
tum kitnā hī ohdoñ se navāzo hameñ lekin
nafrat kā shajar ham se to boyā nahīñ jaatā
socho to javānī kabhī vāpas nahīñ aatī
dekho to kabhī aa ke buḌhāpā nahīñ jaatā
dil par to bahut zaḳhm zamāne ke lage haiñ
ḳhud-dārī se lekin kabhī royā nahīñ jaatā
duniyā bhī sukūñ se kabhī rahne nahīñ detī
nauha bhī kabhī apnoñ kā likkhā nahīñ jaatā
pahre mire hoñToñ pe lagā rakkhe haiñ us ne
chāhūñ maiñ gilā karnā to bolā nahīñ jaatā
tinke bhī nahīñ chhoḌe haiñ 'nayyar' kisī ghar ke
sailāb vo aayā hai ki dekhā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com