har ek raah meñ imkān-e-hādisa hai abhī
ki kho na jā.ūñ añdhere meñ sochnā hai abhī
tamām umr vo chaltā rahā hai sahrā meñ
ghane daraḳht ke saa.e meñ jo khaḌā hai abhī
sukūn tere tasavvur se jis ko miltā hai
vo terī diid ko lekin taḌap rahā hai abhī
har ek shaḳhs ke chehre pe ḳhauf taarī hai
na jaane kaun añdhere meñ chīḳhtā hai abhī
vo kho gayā hai kahīñ bhiiḌ meñ to kyā kījiye
jo dukh hai us ke na milne kā vo judā hai abhī
Thahar ga.e ho sar-e-rāh kis liye āḳhir
chale bhī jaao ki koī balā rahā hai abhī
darīcha khol ke 'nayyar' na dekhiye bāhar
lahūluhān manāzir kā silsila hai abhī