Azhar Naiyyar

huruf Khaali sadaf aur nisab zaKHmon ke

Azhar Naiyyar

Harpur Pusa, Bihar, India

1945
hurūf ḳhālī sadaf aur nisāb zaḳhmoñ ke
varaq varaq pe haiñ tahrīr ḳhvāb zaḳhmoñ ke
savāl phuul se nāzuk javāb zaḳhmoñ ke
bahut ajiib haiñ ye inqalāb zaḳhmoñ ke
ġharīb-e-shahr ko kuchh aur ġham-zada karne
amīr-e-shahr ne bheje ḳhitāb zaḳhmoñ ke
suroñ pe taan ke rakhnā savāb kī chādar
utarne vaale haiñ ab ke azaab zaḳhmoñ ke
vo ek shaḳhs ki jo fat.h kā samundar thā
usī ke hisse meñ aa.e sarāb zaḳhmoñ ke
khileñge naḳhl-e-tamannā kī Tahnī Tahnī par
lahū kī surḳhiyāñ le kar gulāb zaḳhmoñ ke
sajā ke rakkhūñgā mehrāb-e-dil meñ ai 'nayyar'
bahut aziiz haiñ mujh ko gulāb zaḳhmoñ ke
Top Urdushayar.com