hamāre chehre pe rañj-o-malāl aisā thā
masarratoñ kā zamāne meñ kaal aisā thā
fazā-e-shahr meñ bārūd kī thī bū shāmil
ki saañs lenā bhī ham ko muhāl aisā thā
amīr-e-shahr ke hoñToñ pe paḌ ga.e taale
ġharīb-e-shahr kā chubhtā savāl aisā thā
ba-vaqt-e-shām samundar meñ gir gayā sūraj
tamām din kī thakan se niDhāl aisā thā
tamām ghoñsle ḳhālī the nañge peḌoñ par
hudūd-e-dasht meñ vaqt-e-zavāl aisā thā
vo jab bhī milte haiñ zaḳhmoñ ke phuul dete haiñ
hamārā rābta un se bahāl aisā thā
zamīñ pe jhukne lagī ḳhud-ba-ḳhud har ik Daalī
daraḳht karb-e-numū se niDhāl aisā thā
ḳhud apne aap se bhī maiñ rahā huuñ begāna
hisār-e-dil meñ kisī kā ḳhayāl aisā thā