hairān huuñ ki aaj ye kyā hādisa huā
hai aag sard dil bhī hai merā bujhā huā
manzil pe pahle merī rasā.ī huī to phir
har naqsh-e-pā se aage mirā naqsh-e-pā huā
rekhā.eñ haath kī to sivā jāgtī raheñ
ai kaash merā baḳht rahe jāgtā huā
thī us kī band muTThī meñ chiTThī dabī huī
jo shaḳhs thā train ke nīche kaTā huā
'nayyar' kahānī yaad hai pariyoñ ke desh kī
maiñ us tilism se na abhī tak rihā huā