jī rahā huuñ maiñ udāsī bharī tasvīr ke saath
shor kartā huuñ siyah raat meñ zanjīr ke saath
surḳh phūloñ kī ghanī chhāñv meñ chupke chupke
mujh se miltā thā koī ik na.ī tanvīr ke saath
ik tirī yaad ki har saañs ke nazdīk rahī
ik tirā dard ki chaspāñ rahā taqdīr ke saath
kabhī zaḳhmoñ kā bhī ḳhanda-e-gul kā mausam
ham pe khultā rahā ik dard kī tafsīr ke saath
baat aapas kī hai aapas hī meñ rahne diije
varna ham surḳhiyāñ ban jā.eñge tash.hīr ke saath
aap kī mez pe phir ek nayā manzar hai
merī tasvīr bhī hai aap kī tasvīr ke saath
dil ke nazdīk sar-e-shām-e-alam ai 'nayyar'
zaḳhm ke chāñd chamak uThte haiñ tanvīr ke saath