maiñ nikal ke aa gayā huuñ tirī bandagī se aage
abhī kitnā rāsta hai mirī zindagī se aage
tirī sham.a chhoḌ aayā tirī masjidoñ meñ yārab
maiñ tujhī ko DhūñDtā huuñ tirī raushnī se aage
mirā haal ho kuchh aisā tujhe pā ke bhuul jā.ūñ
koī aisī be-ḳhudī ho mirī be-ḳhudī se aage
jahāñ maut samjhūñ apnī vahīñ zindagī javāñ ho
koī rāsta na pā.ūñ maiñ tirī galī se aage
vo charāġh jal na paa.e mile dil meñ ai 'musavvir'
koī aur shā.irī hai mirī shā.irī se aage