Musavvir Firozpuri

dil ke sukun ke waste bhaTke kahan kahan

Musavvir Firozpuri

Firozpur, Punjab, India

1968
dil ke sukūñ ke vāste bhaTke kahāñ kahāñ
TuuTe hazār martaba bikhre kahāñ kahāñ
āḳhir to bah gayā mirī āñkhoñ se zaar zaar
ashkoñ kā ābshār hai simTe kahāñ kahāñ
jab hādse hī hādse apnā nasīb haiñ
kis kis pe ro.e aañkh ye barse kahāñ kahāñ
ḳhushbū hamārī pā ke vo lauT aa.egā kabhī
barsoñ isī umiid meñ mahke kahāñ kahāñ
aap aarzū kī shakl meñ kitne qarīb haiñ
ham justujū meñ aap kī bhaTke kahāñ kahāñ
qismat hai saath agar to duā bhī hai pur-asar
varna kiye haiñ ham ne bhī sajde kahāñ kahāñ
Top Urdushayar.com