DhūñD jugnū koī zulmat ko miTāne vaalā
ab to sūraj se añdherā nahīñ jaane vaalā
har kisī ko na dikhā apne ġhamoñ ke zevar
kāñch kī aañkh meñ aañsū nahīñ aane vaalā
mere ahbāb mire haal pe rote haiñ magar
kaash hotā koī girte ko uThāne vaalā
tere chehre pe jo raunaq hai mire ishq se hai
sirf ġhāza se nahīñ nuur ye aane vaalā
rahnumāoñ kī har ik baat bajā, par kyā hai
apne maazī se koī aañkh milāne vaalā
in ujāloñ ke talabgār to sab haiñ lekin
hai koī ḳhuun charāġhoñ ko pilāne vaalā
terī tasvīr kabhī terā badal ho na sakī
ek kāġhaz meñ nahīñ husn samāne vaalā
apne dāman meñ duāoñ ke ḳhazāne bhar lo
phir ye darvesh nahīñ lauT ke aane vaalā