apnī to mohabbat kī itnī sī kahānī hai
TuuTī hui kashtī hai Thahrā huā paanī hai
ik phuul kitāboñ meñ dam toḌ gayā lekin
kuchh yaad nahīñ aatā ye kis kī nishānī hai
bikhre hue pannoñ se yādeñ sī jhalaktī haiñ
kuchh terī kahānī hai kuchh merī kahānī hai
sāvan kī bahāroñ meñ naġhma haiñ na jhūle haiñ
ākāsh kī āñkhoñ meñ rotā huā paanī hai
chehroñ kī kitāboñ meñ alfāz nahīñ hote
har ek shikan ḳhud meñ ik puurī kahānī hai
chehroñ se to lagtā hai sab bhuul ke baiThe haiñ
ham sirf musāfir haiñ ik raat bitānī hai
maanā ki inheñ ik hī jhoñke ne girāyā hai
har TūTte patte kī apnī hī kahānī hai