kahāñ kho ga.e mere ġham-ḳhvār ab
ki tanhā huuñ chalne ko tayār ab
kahāñ sar chhupā.eñ patā hī nahīñ
ki girne lagī ghar kī dīvār ab
tū munsif hai apnā qalam rok le
bachā legā merā hī kirdār ab
ki āThoñ pahar mujh ko fursat nahīñ
kahīñ kho gayā merā itvār ab
mire ḳhuuñ meñ rañg-e-vafā dekh le
mujhe le ke chal tū sar-e-dār ab
maiñ 'asġhar' musāfir kaḌe kos kā
ki apne hue mere aġhyār ab