shā.irī baat nahīñ garm-e-suḳhan hone kī
shart hī aur hai shā.ista-e-fan hone kī
maiñ ki har-dam mujhe bālīdgī-e-rūh kī fikr
ruuh ko fikr hai vārasta-e-tan hone kī
ram-ba-ram silsila-e-mauj-e-ġhazālān-e-ḳhayāl
dasht-e-ġhurbat ko bashārat ho vatan hone kī
partav-e-rañg se gulgūñ huā māmūra-e-chashm
dhuum hai kū-e-tamāshā ke chaman hone kī
haq-parastī ko yahāñ kaun hai āmāda-e-dār
kis ko taufīq hai be-gor-o-kafan hone kī
yā bachegā na sahar tak koī darmānda-e-shab
yā sahar hī nahīñ ḳhākam-ba-dahan hone kī
dard kī sāl-girah ḳhair se guzre 'gauhar'
aa ga.ī raat vahī chāñd-gahan hone kī