dil tamām ā.īne tiira kaun raushan kaun
ab ye aañkh hī jaane dostoñ meñ dushman kaun
yā jigar meñ ḳhuuñ kam thā yā abhī junūñ kam thā
dasht ke evaz kartā varna qasd-e-gulshan kaun
ik nashāt-ārā.ī ik sukūn-e-tanhā.ī
hijr yā visāl achchhā hal kare ye uljhan kaun
silsile mohabbat ke naam se nahīñ chalte
apnī zaat jo taj de shaiḳh kyā barahman kaun
ik na.ī lagan baḳhshe ik faqat thakan baḳhshe
mardum-āzmā niklā rahnumā ki rahzan kaun
ishq be-ḳhabar guzre ḳhair-o-shar ke uqdoñ se
aarzū kī siitā ko raam kaun rāvan kaun
ḳhāma-e-suḳhanvar yā jazb-e-andrūñ 'gauhar'
fan ke sar pe rakhtā hai tāj-e-azmat-e-fan kaun