Gauhar Hoshiyarpuri

han kahish-e-fuzul ka hasil bhi kuchh nahin

Gauhar Hoshiyarpuri

1930-2000
haañ kāhish-e-fuzūl kā hāsil bhī kuchh nahīñ
lekin hayāt be-ḳhalish-e-dil bhī kuchh nahīñ
ab soch lo qadam haiñ ziyāñ-gāh-e-shauq meñ
kahnā na phir ki jazba-e-kāmil bhī kuchh nahīñ
gahrā sukūt chaap kī āvāz-e-bāzgasht
rah meñ bhī kuchh na thā sar-e-manzil bhī kuchh nahīñ
juz hirs-e-manfa.at tah-e-dariyā bhī kuchh na thā
juz vahm-e-āfiyat lab-e-sāhil bhī kuchh nahīñ
sab jazb-e-ārzū kī tamāzat kā khel hai
dil sard ho to garmī-e-mahfil bhī kuchh nahīñ
badle to ik namūna-e-e'rāz-o-ehtirāz
yuuñ us nigah kī raah meñ haa.il bhī kuchh nahīñ
'gauhar' ḳhalā meñ ghūrte phirte ho ab kaho
kyā sach hai bhūlnā use mushkil bhī kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com