matā-e-ishq zarā aur sarf-e-nāz to ho
tazzī-e-umr kā āḳhir koī javāz to ho
ba-ham-digar koī shab us se lab-ba-lab to chale
havā-e-shauq kuchh ālūda-e-majāz to ho
qadam qadam koī saaya sā muttasil to rahe
sarāb kā ye sar-e-silsila darāz to ho
vo kam-suḳhan na kam-āmez phir takalluf kyā
kuchh us se baat to Thahre kuchh us se saaz to ho
vafā se manzil-e-tark-e-vafā tak aa nikle
kisī bahāne to patthar kabhī gudāz to ho
shafaq kināyā-e-lab shaam istāra-e-zulf
kabhī ḳhayāl vasīloñ se be-niyāz to ho
huzūr-e-nāz abas hai ḳhayāl-e-jāñ 'gauhar'
niyāz mahram-e-ḳhamyāza-e-niyāz to ho