sar par koī āsmān rakh de
ik muñh meñ magar zabān rakh de
aa sulh nahīñ salām to le
ye tiir chaḌhī kamān rakh de
itnā bhī na be-lihāz ho jā
thoḌā sā to ḳhush-gumān rakh de
tujh ko tirī hikmateñ mubārak
ik haath pe ik jahān rakh de
phir ham ko gadā-e-rah banā kar
rah meñ koī imtihān rakh de
tafsīl kahīñ garāñ na paḌ jaa.e
ik harf meñ dāstān rakh de
ab dhyān kī baat chhiḌ ga.ī to
kuchh is se alag bhī dhyān rakh de