maiñ ḳhud hī ḳhūgar-e-ḳhalish-e-justujū na thā
dushvār varna marhala-e-ārzū na thā
nāhaq ḳharāb-e-minnat-e-darmāñ huā na dard
mamnūn-e-zaḳhm huuñ ki maqām-e-rafū na thā
yā āshna-e-ramz talab hī na thī zabāñ
lab vā hue to hausla-e-guftagū na thā
nā-pursish-e-vafā kī ye naubat kabhī na thī
dil yuuñ sulūk-e-ahl-e-karam se lahū na thā
haañ kab ba-nām-e-ishq havas surḳh-rū na thī
haañ kab niyāz-e-shauq subuk kū-ba-kū na thā
ḳhush-fahmī-e-ḳhayāl kī ab zid kā kyā ilaaj
varna jo shaam paas se guzrā thā tū na thā
'gauhar' ġhazal se dhul to gayā kuchh ġhubār-e-ġham
har chand ye hunar sabab-e-ābrū na thā