Gauhar Hoshiyarpuri

dil silsila-e-shauq ki tashhir bhi chahe

Gauhar Hoshiyarpuri

1930-2000
dil silsila-e-shauq kī tash.hīr bhī chāhe
zanjīr bhī āvāza-e-zanjīr bhī chāhe
ārām kī sūrat nazar aa.e to kuchh insāñ
nairañg-e-shab-o-roz meñ taġh.īr bhī chāhe
saudā-e-talab ko na tavakkul ke evaz de
ye shart to ḳhud ḳhāliq-e-taqdīr bhī chāhe
lāzim hai mohabbat hī mohabbat kā badal ho
tasvīr jo dekhe use tasvīr bhī chāhe
ik pal meñ badalte haiñ ḳhad-o-ḳhāl lahū ke
aañkh apne kisī ḳhvāb kī ta.abīr bhī chāhe
lahja to badal chubhtī huī baat se pahle
tiir aisā to kuchh ho jise naḳhchīr bhī chāhe
tāsīr se ḳhālī to suḳhan nañg hai 'gauhar'
shā.er ko atā ho sanad-e-'mīr' bhī chāhe
Top Urdushayar.com