ye sahrā-e-talab yā besha-e-āshufta-hālī hai
koī daryūza-gar apnā koī terā savālī hai
havādis se nabard-ārā.iyoñ kā kis ko yaarā thā
junūñ apnā salāmat jis ne har uftād Taalī hai
tire aġhmāz kī ḳhū siikh lī ahl-e-muravvat ne
ki mahfil dard kī ab sāhab-e-mahfil se ḳhālī hai
huzūrī ho ki mahjūrī mohabbat kam nahīñ us se
tab apnā baḳht-e-ālī thā ab apnā zarf-e-ālī hai
numū kā josh kuchh nazzāra-farmā ho to ho varna
bahār ab ke baras ḳhud pa.imāl-e-ḳhushk-sālī hai
kisī ke lutf-e-kam ko der lagtī hai sivā hote
chaTakne tak to har gul kī jibillat infi.ālī hai
sharaf itnā ki 'ġhālib' kī zamīñ meñ hai ġhazal 'gauhar'
vo mazmūñ-āfrīnī hai na vo nāzuk-ḳhayālī hai