saman-baroñ se chaman daulat-e-numū māñge
havā-e-dāman-e-gul gesuoñ kī bū māñge
tarāz-e-shoḳhī-e-pā hai gyāh-e-sabz kī maañg
ḳhirām-e-nāz kā andāz āb-jū māñge
bikhartī zulf se TuuTe ġhurūr-e-shab kā tilism
sahar kā husn fusūn-e-ruḳh-e-nikū māñge
varaq varaq gul-e-tar mauj mauj bād-e-sahar
badan kā lams tire pairahan kī bū māñge
shigāf-e-koh na thā tesha-e-vafā kī talab
ye jū-e-shīr abhī aur kuchh lahū māñge
shikasta-e-shīsha-e-pindār kī sadā bhī sun
karam kī bhiik jab us sañg-dil se tū māñge
kahāñ vo shoḳh magar apnā nutq-o-lab 'gauhar'
usī kā zikr pa.e-zeb-e-guftugū māñge