Mahshar Badayuni

diyon ko KHud bujha kar rakh diya hai

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994
diyoñ ko ḳhud bujhā kar rakh diyā hai
aur ilzām ab havā par rakh diyā hai
kisī sar par rakhā hai haath us ne
kisī gardan pe ḳhanjar rakh diyā hai
ye kyā bāhar se aa.ī lahr jis ne
bujhā kar ghar kā manzar rakh diyā hai
ajab haiñ us galī ke dūr-andesh
diyā rakhnā thā patthar rakh diyā hai
baḌe maujī nahangān-e-tah-e-āb
samundar ko hilā kar rakh diyā hai
ye mid.hat-gar bhī haiñ kyā kār-pardāz
zamīñ ko āsmāñ par rakh diyā hai
rakhā bachchoñ meñ jazb-e-razm bhī kuchh
khilaunoñ kā to lashkar rakh diyā hai
hisār-e-gard-bād apnā Thikānā
aur us kā naam bhī ghar rakh diyā hai
likkhe yāroñ ne kuchh nukte bhī yā phir
faqat lafzoñ kā daftar rakh diyā hai
rakhā marham hī ghāyal uñgliyoñ par
qalam kab ham ne 'mahshar' rakh diyā hai
Top Urdushayar.com