mirā to vaqt ghar se kuuch hī kā hai
savāl saare ghar kī zindagī kā hai
yahāñ to dostī nibhe na dushmanī
zamīñ hai jis kī āsmāñ usī kā hai
taras na jaa.e raqs-o-ram ko bhī kahīñ
vo dasht jis pe saaya aadmī kā hai
jo din na guzre vo bhī din guzārnā
hamārā kyā ye sāneha sabhī kā hai
ye imtihāñ garāñ hai aur bahut garāñ
magar ye karb to kabhī kabhī kā hai
mire shikast-jū shikast khā ga.e
ḳhamosh huuñ ki din hī ḳhāmushī kā hai
har ibtidā ko intihā kā hai gumāñ
har intihā ko ġham kisī kamī kā hai