safīr-e-fan the so tasvīr kar diye ga.e ham
phir ek ḳhvāb se tābīr kar diye ga.e ham
ham ik ḳhayāl the firdaus-e-ham-e-ḳhayālāñ kā
so ik ḳharābe meñ ta.amīr kar diye ga.e ham
savāliyān-e-siyah-baḳht kī tarah tah-e-teġh
ba-nām-e-adl jahāñgīr kar diye ga.e ham
shahīd kar ke bhī mausam ne kab rihā.ī dī
shajar kī shāḳh meñ zanjīr kar diye ga.e ham
ham is se pahle bhī ik dāstāñ the aur ab to
salīb-o-dār pe tahrīr kar diye ga.e ham
ḳhadañg-e-zulm vo barse ki ḳhud bhī āḳhir-e-kār
nigāh-e-zulm meñ shamshīr kar diye ga.e ham
ye ramz-e-nukta-varī hai ki taur-e-hīla-garī
rahīn-e-zillat-e-taqdīr kar diye ga.e ham
miTe ham apnī zamīñ par to kyā maqām milā
yahī ki dafn ba-tauqīr kar diye ga.e ham