marhale saḳht imtihān ke haiñ
chal paḌe ham bhī siina taan ke haiñ
āsmāñ zer-e-par haiñ jo taa.ir
merī hī sat.h kī uḌaan ke haiñ
mushta.il rahne deñ inheñ ki bujhā.eñ
ye charāġh apne hī makān ke haiñ
kaun kahtā hai shab ko shab na kaho
kuchh qarīne bhī to zabān ke haiñ
aadmī ab kahāñ zamīñ pe rahe
sab farishte hī āsmān ke haiñ
jin ke shab-ḳhūñ se hai dukhī ye zamīñ
jaane vo log kis jahān ke haiñ
zad pe ham haiñ to zad pe tum bhī ho
tiir ham bhī kaḌī kamān ke haiñ