ab ke barsāt to ghar kar ke hī mismār ga.ī
dar ko rokā thā thapeḌoñ meñ ki dīvār ga.ī
kyā safar kis kā makāñ kaisī havā kis kā shajar
tezī-e-par ga.ī ḳhas-raizī-e-minqār ga.ī
ho ga.e gosha-nashīñ ghar meñ jo ham ḳhāk-basar
kaun sī ābrū-e-kūcha-o-bāzār ga.ī
dā.ere saare dil o zehn ke zanjīr bane
chhin ga.ī rūh-e-amal gardish-e-parkār ga.ī
kuchh zyāda hī pareshāñ haiñ palaTtī maujeñ
dard meñ Duubī huī lai koī us paar ga.ī